"na aane ke un ke bahaane bhi dekhe baDe sang-dil vo zamaane bhi dekhe udhar bulbulein ro rahi hain qafas ko ki sayyaad gaate taraane bhi dekhe ghamon ko bhulaane jo nikle hain ghar se isi dhun mein kuchh baada-khaane bhi dekhe na paayaa unhein ho ke maayus lauTe sabhi ham ne un ke Thikaane bhi dekhe kabhi aaegaa vaqt 'mahtaab' apnaa bahut ham ne un ke zamaane bhi dekhe"
suhaane sapne aae hain — Bashir Mehtaab
"suhaane sapne aae hain lubhaane sapne aae hain mujhe manzil ki daavat hai bulaane sapne aae hain miri bedaar aankhon ko sajaane sapne aae hain main ik muddat se soyaa thaa jagaane sapne aae hain mujhe paane tum aae ho ganvaane sapne aae hain ye sapne jaa nahin sakte churaane sapne aae hain ye armaan phir se toDeinge dikhaane sapne aae hain nayaa saa khel hai koi puraane sapne aae hain mujhe to aakhiri dam tak hansaane sapne aae hain ajab 'mahtaab' aankhon ke divaane sapne aae hain"
سہانے سپنے آئے ہیں لبھانے سپنے آئے ہیں مجھے منزل کی دعوت ہے بلانے سپنے آئے ہیں مری بیدار آنکھوں کو سجانے سپنے آئے ہیں میں اک مدت سے سویا تھا جگانے سپنے آئے ہیں مجھے پانے تم آئے ہو گنوانے سپنے آئے ہیں یہ سپنے جا نہیں سکتے چرانے سپنے آئے ہیں یہ ارماں پھر سے توڑیں گے دکھانے سپنے آئے ہیں نیا سا کھیل ہے کوئی پرانے سپنے آئے ہیں مجھے تو آخری دم تک ہنسانے سپنے آئے ہیں عجب مہتابؔ آنکھوں کے دوانے سپنے آئے ہیں
सुहाने सपने आए हैं लुभाने सपने आए हैं मुझे मंज़िल की दावत है बुलाने सपने आए हैं मिरी बेदार आँखों को सजाने सपने आए हैं मैं इक मुद्दत से सोया था जगाने सपने आए हैं मुझे पाने तुम आए हो गँवाने सपने आए हैं ये सपने जा नहीं सकते चुराने सपने आए हैं ये अरमाँ फिर से तोड़ेंगे दिखाने सपने आए हैं नया सा खेल है कोई पुराने सपने आए हैं मुझे तो आख़िरी दम तक हँसाने सपने आए हैं अजब 'महताब' आँखों के दिवाने सपने आए हैं

More by Bashir Mehtaab
View all →"rukh tumhaaraa ho jidhar ham bhi udhar ho jaaeinge tum se bichhDeinge agar to dar-ba-dar ho jaaeinge zindagaani ke safar mein lutf hogaa tab nasib ham-khayaal-o-ham-navaa jab ham-safar ho jaaeinge aasmaanon kaa safar ham tai kareinge ek roz jab hamaare hauslon mein baal-o-par ho jaaeinge saadgi yunhi agar laade rahe to ek din sab tumhaare apne tum se be-khabar ho jaaeinge dekhnaa jis din unhein maqsad samajh mein aaegaa manzilon ki justuju mein rahguzar ho jaaeinge paude hain urdu adab ke aab-o-daana Daaliye aane vaale kal mein saae aur samar ho jaaeinge saaqi saaghar ki zarurat hi kahaan mere liye teri aankhon ke hi pyaale pur-asar ho jaaeinge vo na jaaeinge kabhi 'mahtaab' zulmat ki taraf vaqt par anjaam se vaaqif agar ho jaaeinge"
"kis masti mein ab rahtaa huun khud ko khud mein DhunD rahaa huun duniyaa mein sab se hi judaa huun aakhir main kis duniyaa kaa huun main to khud ko bhuul chukaa huun tum batlaa do kaun huun kyaa huun ye bhi nahin hai yaad mujhe ab kyuun aakhir rotaa rahtaa huun ik duniyaa hai mere andar us mein hi main ghuum rahaa huun mujh ko niind hai pyaari yaa phir us ko bhi main hi pyaaraa huun vo rukh apnaa pher chuke hain main kis ko apnaa kahtaa huun in lafzon ne manzil chhini aap chalein main abhi aataa huun man to khushiyaan baanT rahaa hai main qatra qatra rotaa huun khud kaa bojh hai kitnaa khud par kitnaa khud ko jhel rahaa huun mujh ko tum 'mahtaab' na samjho shaayad main us kaa saayaa huun"
"maanaa us ko gila nahin mujh se kuchh to hai jo kahaa nahin mujh se haq nahin dosti kaa aisaa koi jo ki us ko milaa nahin mujh se dil hi dil mein vo bughz rakhtaa hai jo ba-zaahir khafaa nahin mujh se kuchh to hogaa zarur is kaa sabab vo jo ab tak laDaa nahin mujh se laakh pichhaa chhuDaanaa chaahaa magar gham huaa hi judaa nahin mujh se kaise rah paaegaa vo mere baghair jo alag hi rahaa nahin mujh se jo ba-zaahir khafaa hai ai 'mahtaab' vo ba-baatin khafaa nahin mujh se"
"sab ki maujudgi samajhtaa hai dil kisi ki kami samajhtaa hai ek hi shakhs se main vaaqif huun jo mujhe ajnabi samajhtaa hai go mujhe jaantaa nahin lekin vo miri shaairi samajhtaa hai vasl ke ashk hijr ke aansu vo nami ko nami samajhtaa hai vahi meri zabaan se hai vaaqif jo miri khaamushi samajhtaa hai aap ke saamne main khush huun magar mere dukh raam hi samajhtaa hai yahi urdu zabaan kaa hai jaadu ab mujhe har koi samajhtaa hai main use baat dil ki kahtaa huun vo use shaairi samajhtaa hai itnaa naadaan bhi nahin hai vo jo tumhaari hansi samajhtaa hai kaun 'mahtaab' ab tumhaaraa hai kaun dil ki lagi samajhtaa hai"
"jab se mire raqib kaa rasta badal gayaa tab se mire nasib kaa naqsha badal gayaa shirin thaa kitnaa aap kaa andaaz-e-guftugu do-chaar sikke aate hi lahja badal gayaa kis ki zabaan se mujhe dekho khabar mujhe kaise mire harif kaa chehra badal gayaa un ke badalne kaa mujhe afsos kuchh nahin afsos ye hai apnaa hi saaya badal gayaa jab se baDon ki ghar se hukumat chali gai jannat-numaa makaan kaa naqsha badal gayaa raahon ki khaak chhaantaa phirtaa huun aaj tak rahbar badal gayaa kabhi rasta badal gayaa kahtaa hai us ke jaane se kuchh bhi nahin huaa 'mahtaab' jabki dil kaa vo Dhaancha badal gayaa"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"