Quote
"sharaab laal-e-lab-e-dil-baraan hai mujh kuun mubaah ab aish-o-ishrat-e-donon-jahaan hai mujh kuun mubaah yahi hai farq ham aur tum munin sun ai zaahid vahaan jo tujh ko milegaa yahaan hai mujh kuun mubaah jinhon ke tir-e-mizha dil kuun phoD chalte hain vo shokh dilbar-e-abru-kamaan hai mujh kuun mubaah sharaab o shaahid o khalvat siyaah-masti hosh isi jahaan munin begamaan hai mujh kuun mubaah kharaab dukhtar-e-raz ke hue hain sab 'yakru' ajab ki shaikh kahe hai kahaan hai mujh kuun mubaah"
A
Abdul Wahab Yakro