Quote
"kisi kaa dil ko rahaa intizaar saari raat falak ko dekhaa kiye baar baar saari raat taDap taDap ke tamannaa mein karvaTein badlin na paayaa dil ne hamaare qaraar saari raat idhar to shama thi giryaan udhar the ham giryaan isi tarah pe rahe ashk-baar saari raat khayaal-e-sham-rukh-e-yaar mein jale taa-subh liyaa qaraar na parvaana-vaar saari raat na puchh soz-e-judaai ko ham se ai hamdam jalaa kiyaa ye dil-e-daaghdaar saari raat mizha ke ishq se aai na niind aankhon mein nazar khaTakti rahi ban ke khaar saari raat khayaal-e-zulf-e-siyah mein bahaa kiye aansu bandhaa rahaa mire rone kaa taar saari raat na puchh ham se 'asar' raat kis tarah kaaTi ajab tarah kaa rahaa intishaar saari raat"
