SHAWORDS

mere sar mein jo raat chakkar thaa — Imdad Imam Asar

"mere sar mein jo raat chakkar thaa us ke zaanu pe ghair kaa sar thaa apne ghar un ko kyaa bulaate ham boriyaa bhi nahin mayassar thaa zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein apnaa rumaal ashk se tar thaa jaan dene mein soch kyaa karte muflisi par bhi dil tavangar thaa khub-o-zisht-e-jahaan kaa farq na puchh maut jab aai sab baraabar thaa aap jab tak na le chuke the dil kuchh mizaaj aur banda-parvar thaa hijr laahiq huaa visaal ke baad kyaa hi ulTaa miraa muqaddar thaa jaur-e-aadaa ki taab kyaa laataa dil-e-kam-bakht naaz-parvar thaa sohbat-e-hur se hui nafrat main jo teri adaa kaa khugar thaa hai 'asar' yaa nahin khudaa jaane sunte hain us kaa haal abtar thaa"
Urdu

میرے سر میں جو رات چکر تھا اس کے زانو پہ غیر کا سر تھا اپنے گھر ان کو کیا بلاتے ہم بوریا بھی نہیں میسر تھا ضبط دل پر بھی اس کی محفل میں اپنا رومال اشک سے تر تھا جان دینے میں سوچ کیا کرتے مفلسی پر بھی دل تونگر تھا خوب و زشت جہاں کا فرق نہ پوچھ موت جب آئی سب برابر تھا آپ جب تک نہ لے چکے تھے دل کچھ مزاج اور بندہ پرور تھا ہجر لاحق ہوا وصال کے بعد کیا ہی الٹا مرا مقدر تھا جور اعدا کی تاب کیا لاتا دل کم بخت ناز پرور تھا صحبت حور سے ہوئی نفرت میں جو تیری ادا کا خوگر تھا ہے اثرؔ یا نہیں خدا جانے سنتے ہیں اس کا حال ابتر تھا

Hindi

मेरे सर में जो रात चक्कर था उस के ज़ानू पे ग़ैर का सर था अपने घर उन को क्या बुलाते हम बोरिया भी नहीं मयस्सर था ज़ब्त-ए-दिल पर भी उस की महफ़िल में अपना रूमाल अश्क से तर था जान देने में सोच क्या करते मुफ़्लिसी पर भी दिल तवंगर था ख़ूब-ओ-ज़िश्त-ए-जहाँ का फ़र्क़ न पूछ मौत जब आई सब बराबर था आप जब तक न ले चुके थे दिल कुछ मिज़ाज और बंदा-परवर था हिज्र लाहिक़ हुआ विसाल के ब'अद क्या ही उल्टा मिरा मुक़द्दर था जौर-ए-आदा की ताब क्या लाता दिल-ए-कम-बख़्त नाज़-परवर था सोहबत-ए-हूर से हुई नफ़रत मैं जो तेरी अदा का ख़ूगर था है 'असर' या नहीं ख़ुदा जाने सुनते हैं उस का हाल अबतर था

mere sar meñ jo raat chakkar thā
Imdad Imam Asar
Imdad Imam Asar
Imdad Imam Asar
poet50 quotes

More by Imdad Imam Asar

View all →
Quote
"kisi kaa dil ko rahaa intizaar saari raat falak ko dekhaa kiye baar baar saari raat taDap taDap ke tamannaa mein karvaTein badlin na paayaa dil ne hamaare qaraar saari raat idhar to shama thi giryaan udhar the ham giryaan isi tarah pe rahe ashk-baar saari raat khayaal-e-sham-rukh-e-yaar mein jale taa-subh liyaa qaraar na parvaana-vaar saari raat na puchh soz-e-judaai ko ham se ai hamdam jalaa kiyaa ye dil-e-daaghdaar saari raat mizha ke ishq se aai na niind aankhon mein nazar khaTakti rahi ban ke khaar saari raat khayaal-e-zulf-e-siyah mein bahaa kiye aansu bandhaa rahaa mire rone kaa taar saari raat na puchh ham se 'asar' raat kis tarah kaaTi ajab tarah kaa rahaa intishaar saari raat"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"subh-dam roti jo teri bazm se jaati hai shama saaf mere soz-e-gham kaa rang dikhlaati hai shama jis tarah kaale ke man ke ru-ba-ru gul ho charaagh dekh kar taaviz-e-zulf-e-yaar bujh jaati hai shama sirf parvaana adab se dam-ba-khud rahtaa nahin tere roab-e-husn se mahfil mein tharraati hai shama gher lete hain tujhe parvaane us ko chhoD kar jis mein tu ho kab farogh us bazm mein paati hai shama kaarband-e-adl hote hain jo hain raushan-dimaagh bazm mein har samt yaksaan nuur pahunchaati hai shama parda-e-faanus se baahar nahin rakhti qadam ru-ba-ru tere rukh-e-raushan ke sharmaati hai shama jaa-e-girya sohbat-e-ahle--tamaashaa hai 'asar' hai bajaa roti hui jo bazm mein aati hai shama"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"apne dar se jo uThaate hain hamein khaak mein aap milaate hain hamein hai jo manzur jafaa dar-parda munh vo ghairon mein dikhaate hain hamein ghair ko paas biThaa rakhte hain jab kabhi aap bulaate hain hamein garmiyaan ghair ko dikhlaa dikhlaa bazm mein aap jalaate hain hamein shab-e-furqat mein falak ke taare daagh-e-dil yaad dilaate hain hamein un ke andaaz-e-sukhan hain maalum ghair ko kah ke sunaate hain hamein phir kisi gul pe huaa dil maail daagh-e-taaza nazar aate hain hamein chhoD dein aap ki hamraahi ham vaah kyaa raah bataate hain hamein tu hamein raah bataae jis se ghair vo raah bataate hain hamein itr-e-gul se nahin jab dil bhartaa apnaa rumaal sunghaate hain hamein shab ko afsaana-e-dil kah ke 'asar' aap rote hain rulaate hain hamein"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"bahe saath ashk ke lakht-e-jigar tak na ki us ne miri jaanib nazar tak abas sayyaad ko hai bad-gumaani nahin baazu mein apne ek par tak khabar aai mariz-e-dard-o-gham ki kahin pahunche khabar us be-khabar tak nazaakat se lagi bal karne kyaa kyaa abhi gesu na pahunche the kamar tak jiye jaate hain shakl-e-sham-e-sozaan na kuchh baaqi raheinge ham sahar tak agar main yaad hotaa to na aate magar bhule se aae mere ghar tak dam-e-girya thi ghaalib naa-tavaani pahunchte lakht-e-dil kyaa chashm-e-tar tak khudaa jaane 'asar' ko kyaa huaa hai rahaa kartaa hai chup do do pahar tak"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aataa karte na agar zabt to munh tak jigar aataa tu faatiha-khvaani ko agar qabr par aataa marne se mire ghair kaa matlab na bar aataa ai qais agar dasht mein tu raah par aataa sau baar tujhe naaqa-e-lailaa nazar aataa takhsis na thi tuur ki ai hazrat-e-musaa har sang mein vo nur-e-tajalli nazar aataa hoti chaman-aaraa-e-azal ki jo mashiyyat apne shajar-e-ishq kaa vaqt-e-samar aataa be-kaar na kar raat basar muntazari mein aanaa use hotaa to vo ab tak 'asar' aataa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar
Quote
"gham nahin mujh ko jo vaqt-e-imtihaan maaraa gayaa khush huun tere haath se ai jaan-e-jaan maaraa gayaa tegh-e-abru se dil-e-aashiq ko milti kyaa panaah jo chaDhaa munh par ajal ke be-gumaan maaraa gayaa manzil-e-maa'shuq tak pahunchaa salaamat kab koi rahzanon se kaarvaan kaa kaarvaan maaraa gayaa dosti ki tum ne dushman se 'ajab tum dost ho main tumhaari dosti mein mehrbaan maaraa gayaa zahr se kuchh kam na thi daa'vat miri ghairon ke saath kyaa ghazab hai ghar balaa kar mehmaan maaraa gayaa dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhaai hujum-e-dard-o-yaas in balaaon mein tiraa 'aashiq kahaan maaraa gayaa kyaa halaak-e-ishq tere gesuon kaa thaa 'asar' sumbulistaan ho gayaa hai do-jahaan maaraa gayaa"
Imdad Imam AsarImdad Imam Asar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud