SHAWORDS

vo kahte hain uTTho sahar ho gai — Aagha Akbarabadi

"vo kahte hain uTTho sahar ho gai azaan ho gai top-sar ho gai gale se milo ab to bahr-e-khudaa taDapte mujhe raat bhar ho gai ilaahi huaa jazb-e-ulfat ko kyaa miri aah kyuun be-asar ho gai zamaana to ai jaan bargashta thaa tumhaari bhi tirchhi nazar ho gai hue sar kaTaane ko tayyaar ham jo vaan tegh zeb-e-kamar ho gai dikhaai mujhe kis liye shaam-e-hijr shab-e-vasl ki kyuun sahar ho gai milaa vasl mein bhi na 'aaghaa' ko chain shikaayat mein shab bhar basar ho gai"
Urdu

وہ کہتے ہیں اٹھو سحر ہو گئی ازاں ہو گئی توپ سر ہو گئی گلے سے ملو اب تو بہر خدا تڑپتے مجھے رات بھر ہو گئی الٰہی ہوا جذب الفت کو کیا مری آہ کیوں بے اثر ہو گئی زمانہ تو اے جان برگشتہ تھا تمہاری بھی ترچھی نظر ہو گئی ہوئے سر کٹانے کو تیار ہم جو واں تیغ زیب کمر ہو گئی دکھائی مجھے کس لیے شام ہجر شب وصل کی کیوں سحر ہو گئی ملا وصل میں بھی نہ آغاؔ کو چین شکایت میں شب بھر بسر ہو گئی

Hindi

वो कहते हैं उट्ठो सहर हो गई अज़ाँ हो गई तोप-सर हो गई गले से मिलो अब तो बहर-ए-ख़ुदा तड़पते मुझे रात भर हो गई इलाही हुआ जज़्ब-ए-उल्फ़त को क्या मिरी आह क्यूँ बे-असर हो गई ज़माना तो ऐ जान बरगश्ता था तुम्हारी भी तिरछी नज़र हो गई हुए सर कटाने को तय्यार हम जो वाँ तेग़ ज़ेब-ए-कमर हो गई दिखाई मुझे किस लिए शाम-ए-हिज्र शब-ए-वस्ल की क्यूँ सहर हो गई मिला वस्ल में भी न 'आग़ा' को चैन शिकायत में शब भर बसर हो गई

vo kahte haiñ uTTho sahar ho ga.ī
A
Aagha Akbarabadi
Aagha Akbarabadi
poet56 quotes

More by Aagha Akbarabadi

View all →
Quote
"malte hain haath, haath lageinge anaar kab joban kaa un ke dekhiye hogaa ubhaar kab ushshaaq muntazir hain qayaamat kab aaegi be-parda munh dikhaaegaa vo parda-daar kab ik roz apni jaan pe ham khel jaaeinge tum puchhte rahoge yunhi baar baar kab bekas ko kaun roe gharibon kaa kaun hai meri lahad pe shama hui ashk-baar kab kaun aayaa paDhte faatiha kis ne chaDhaae phuul marne ke baad puchhtaa hai koi yaar kab ummid naa-umid ko un se nahin rahi dushman ke dost hain vo hue mere yaar kab jo unche unche hain vahi jaate hain baam par mahfil mein ham gharibon ko miltaa hai yaar kab jab naqd maal tu ne diyaa ham ne naqd-e-dil saaqi hamein bataa de ki pi thi udhaar kab milnaa chhuDaayaa tum se miraa rashk-e-ghair ne kartaa hai koi aap se jabr ikhtiyaar kab 'aaghaa' ko zabh karte ho apni gali mein kyuun jaaez hai meri jaan haram mein shikaar kab"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"tire jalaal se khurshid ko zavaal huaa tire jamaal se mahtaab ko kamaal huaa khiraam-e-naaz mein un ko ye kab khayaal huaa ki dil kisi kaa pisaa koi paaemaal huaa shabaab se tiri rangat kaa turfa haal huaa sapid joDaa jo pahnaa badan mein laal huaa jo vasl-e-yaar ki tadbir ki visaal huaa khayaal aish kaa aayaa to ik malaal huaa hilaal badar huaa badar se hilaal huaa yahaan kamaal kisi kaa na be-zavaal huaa hazaaron saikDon paidaa hue hue naapaid na ek dam bhi zamaane ko e'tidaal huaa raqib qatl huaa us ki tegh-e-abru se haraam-zaada thaa achchhaa huaa halaal huaa buton kaa zulm kisi ne sunaa na mahshar mein khudaa se bhi miraa jhagDaa na infisaal huaa kiye hain khuun se kisi ke ye dast-o-paa rangin shikaar taaza koi aaj kyaa halaal huaa jalaayaa mujh ko to tujh ko bhi lag gayaa dhabba jigar pe daagh mire rukh pe tere khaal huaa jo main junun mein gayaa su-e-dasht ai 'aaghaa' to mujh ko dekh ke divaana har ghazaal huaa"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"daur saaghar kaa chale saaqi dobaaraa ek aur abr kaa'ba se uThaa hai maan kahnaa ek aur jhumtaa aataa hai vo baadal kaa TukDaa ek aur saaqiyaa bhar kar pilaa de jaam-e-sahbaa ek aur din ko jo kuchh tum ne dekhaa ye to thi sab dil-lagi shab ko rah jaao to dikhlaaein tamaashaa ek aur main unhein kahtaa huun tum bedard ho naa-aashnaa vo lagaate hain mujhe ilzaam ulTaa ek aur dil ko nafrat ho gai nazron se aakhir gir gae tum se behtar apni aankhon mein samaayaa ek aur kyuun sisaktaa chhoDe jaate ho mujhe maqtal mein tum faisla kar duun main qurbaan de ke charkaa ek aur tere aane mein tavaqquf jab huaa ai naama-bar khat unhein bechain ho kar ham ne likkhaa ek aur band mahram ke khule kuchh be-hijaabi ho chuki vo bhi ab uTh jaae jo baaqi hai pardaa ek aur dost dushman ho gae yaaron ne aankhein pher liin rah gayaa hai aap kaa mujh ko bharosaa ek aur vasl ki shab mein kiyaa murgh-e-sahar kaa band-o-bast naara-e-allaahu-akbar kaa hai dhaDkaa ek aur ho chukaa zikr-e-dahan vasf-e-kamar likhte hain ham daam mein sayyaad ke phanstaa hai anqaa ek aur said ki kasrat se 'aaghaa' ban paDi sayyaad ki do ne gar paai rihaai aa ke uljhaa ek aur"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"nahin mumkin ki tire hukm se baahar main huun ai sanam taabe-e-farmaan-e-muqaddar main huun dil to hairaan hai kyuun shashdar-o-muztar main huun ishq kahtaa hai ki us parde ke andar main huun pairav-e-silsila-e-zulf-e-muambar main huun tauq se uzr na zanjir se baahar main huun aab-ru-e-sadaf o zinat-e-gosh-e-mahbub durr-e-naayaab jo sunte ho vo gauhar main huun ab subuk-dosh main huun bojh gale kaa Tal jaae tegh-e-qaatil se ilaahi kahein be-sar main huun taaer-e-qibla-numaa kaa hai ishaara mujh se naama pahunchaane ko pardaar kabutar main huun aai phir fasl-e-bahaari madad ai josh-e-junun do qadam chal nahin saktaa huun vo laaghar main huun nutq kahtaa hai ki iisaa miraa dam bhartaa hai dahan-e-yaar ko daavaa hai ki kausar main huun jaadu bar-haq hai to kaafir hai ayaan raa-che-bayaan teraa maaraa huaa ai chashm-e-fusun-gar main huun mohtasib ko bhi hidaayat karun mai-noshi ki vaaizaa teri jagah gar sar-e-mimbar main huun na unhein meri shikaayat na mujhe un kaa gila na kudurat unhein mujh se na mukaddar main huun hairat-e-husn se ik sakta kaa aalam dekhaa aaina munh ko tire taktaa hai shashdar main huun daur-e-farhaad gayaa ye hai zamaana meraa be-sutun ab to uThaae hue sar par main huun aaj-kal husn-e-javaani pe jo hai un ko ghurur naaz kahtaa hai ki andaaz se baahar main huun barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"muddat ke baad is ne likhaa mere naam khat meri shikaayaton se bharaa hai tamaam khat ghabraa na is qadar dil-e-betaab sabr kar aataa hai koi roz mein ab subh-o-shaam khat likkhaa huaa hai khaas tumhaare hi haath kaa pahchaantaa hai khuub tumhaaraa ghulaam khat tahrir un ki siina pe rakh dijiyo mire badle javaab-e-naama ke aaegaa kaam khat likkhaa hai ab na likkheinge ham koi khat tujhe khat aayaa meri maut kaa laayaa payaam khat zaae' na jaaegi tiri mehnat kisi tarah qaasid ajura detaa huun chuTki mein thaam khat aashiq-navaaziyaan hain tabiat mein yaar ki likkhaa hai har mahine mein bhejo mudaam khat tahrir kar ke saikaDon vaade mukar gae dikhlaaungaa huzur ko roz-e-qayaam khat khat likh ke aaj Daak pe pahuncheinge yaar ko pahunchaaegaa hamaaraa payaam-o-salaam khat 'aaghaa' nisaar hojiye inaam dijiye laayaa hai un kaa qaasid-e-sarsar-khiraam khat"
A
Aagha Akbarabadi
Quote
"nigaahon mein iqraar saare hue hain ham un ke hue vo hamaare hue hain jin aankhon mein aansu chakaare hue hain ham un ki nigaahon ke maare hue hain na khaTkein kaho kis tarah tir-e-mizhgaan jigar par hamaare utaare hue hain jhaDe jo tiri kafsh-e-zarrin ke zarre falak par vo jaa kar sayyaare hue hain 'abas jaan deti hai bulbul gulon par ye us rukh ke sadqe utaare hue hain kis andaaz se band-e-mahram kase hain ki joban ko un ke ubhaare hue hain yaqin hai balaa ho koi aaj naazil vo baalon ko apne sanvaare hue hain khabar-daar haathon se jaane na paaein ye duzd-e-hinaa maal maare hue hain kahe deti hain saaf aankhein tumhaari kisi ghair se kuchh ishaare hue hain main manjdhaar mein Dubtaa huun ilaahi vo dil le ke meraa kinaare hue hain hamesha jo bharte the dam dosti kaa vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain nazar kar du'aa par khudaavand-e-aalam ki ham haath apne pasaare hue hain bhalaa ghair ki is mein hai kyaa shikaayat vahi dushman-e-jaan hamaare hue hain unhein ham ne nahlaa diyaa de ke chhinTein 'ajab lutf dariyaa kinaare hue hain khabar aamad-e-gul ki shaayad hai 'aaghaa' chaman saare jhaaDe bahaare hue hain"
A
Aagha Akbarabadi

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud