Quote
"rahtaa hai mere dil se vo aisaa lagaa huaa khaali makaan pe jaise ho taalaa lagaa huaa nuqsaan sau tarah ke uThaane paDe mujhe ye kaise kaarobaar mein dil thaa lagaa huaa aankhein jo mundiye to andheraa hai kis qadar baahar to raushni kaa hai mela lagaa huaa kahte hain log ab jise sahraa sukut kaa bahtaa thaa mere ghar se vo dariyaa lagaa huaa aayaa jo hosh saamne banjar zamin thi samjhe ye the hai baagh phalon kaa lagaa huaa rahzan ho raahbar ho ki dushman ho dost ho lagtaa hai sab ke chehre pe chehra lagaa huaa 'razzaaqi' ab na Taaliye fursat pe koi kaam taa-'umr ye rahegaa jhamelaa lagaa huaa"







