Quote
"pher roz-e-firaaq-e-yaar aayaa naama-bar aah zaar zaar aayaa tere jaane se fitna ho tayyaar ba-sar-e-chashm ashk-baar aayaa jhaaDaa marqad pe mere jab daaman aasmaan kaa goyaa ghubaar aayaa mai se tauba to kar nahin saktaa kyaa karun mausam-e-bahaar aayaa maaraa jaavegaa bhaag ai naaseh dekh ye naaznin savaar aayaa kisi makhluq ko khudaa na dikhaae jo ki mujh par dar-intizaar aayaa is ki bedaad kaa khudaa de ajr haath mein le ke zul-fiqaar aayaa kahtaa hai sar jhukaa jo aashiq hai main to ab maail-e-shikaar aayaa 'aafridi' samajh hayaat-e-abad qatl ko tere gar vo yaar aayaa peshvaai ko is ki jaa jaldi kah ki haazir gunaahgaar aayaa tujhe 'qaasim-ali' khudaa ki qasam kaise zaalim pe e'tibaar aayaa"







