Shayari
abhi se tujh ko paDi hai visaal ki miri jaan
abhi to hijr ne unvaan hi nahin paayaa
kaisi ajiib baat hai tu saamne thaa aur
main tere saamne bhi kisi aur se milaa
کیسی عجیب بات ہے تو سامنے تھا اور
میں تیرے سامنے بھی کسی اور سے ملا
कैसी अजीब बात है तू सामने था और
मैं तेरे सामने भी किसी और से मिला

abhi se tujh ko paDi hai visaal ki miri jaan
abhi to hijr ne unvaan hi nahin paayaa
yaad aate hain ve din bahut
kyon na ve din dobaaraa karein
aaj suraj ne kah diyaa 'momin'
tu jalegaa to raushni hogi
ve saamne se jaa chukaa to ye khulaa
vo khvaab lag rahaa thaa khvaab thaa nahin
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
us ne vaada nahin liyaa mujh se
aur kahtaa hai main mukar rahaa huun