Shayari
kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai
ki dil ke saath hi dekhaa hai Dubnaa shab kaa
us se kahnaa ki dhuaan dekhne laaiq hogaa
aag pahne hue main jaaungaa paani ki taraf
اس سے کہنا کہ دھواں دیکھنے لائق ہوگا
آگ پہنے ہوئے میں جاؤں گا پانی کی طرف
उस से कहना कि धुआँ देखने लाइक़ होगा
आग पहने हुए मैं जाऊँगा पानी की तरफ़

kabhi kabhi to ye vahshat bhi ham pe guzri hai
ki dil ke saath hi dekhaa hai Dubnaa shab kaa
chalte hue mujh mein kahin Thahraa huaa tu hai
rasta nahin manzil nahin achchhaa huaa tu hai
jaane kyaa kuchh ho chhupaa tum mein mohabbat ke sivaa
ham tasalli ke liye phir se khagaaleinge tumhein
main sochtaa huun bahut zindagi ke baare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jaae
main yuun hi nahin apni hifaazat mein lagaa huun
mujh mein kahin lagtaa hai ki rakkhaa huaa tu hai
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jaae
khayaal o khvaab mein ab ke bhi ghar na rah jaae