Shayari
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki mohabbat nahin ehsaan kiyaa hai
divaaron mein dar hotaa to achchhaa thaa
apnaa koi ghar hotaa to achchhaa thaa
دیواروں میں در ہوتا تو اچھا تھا
اپنا کوئی گھر ہوتا تو اچھا تھا
दीवारों में दर होता तो अच्छा था
अपना कोई घर होता तो अच्छा था

is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki mohabbat nahin ehsaan kiyaa hai
jis ko meri haalat kaa ehsaas nahin
us ko dil kaa haal sunaa kar ronaa kyaa
kisi ne mujh se kah diyaa thaa zindagi pe ghaur kar
main shaakh par khilaa huaa gulaab dekhtaa rahaa
mushkil thaa bahut mere liye tark-e-taalluq
ye kaam bhi tum ne miraa aasaan kiyaa hai
ai mere musavvir nahin ye main to nahin huun
ye tu ne banaa Daali hai tasvir koi aur
rang aa jaate muTThi mein jugnu ban kar
khushbu kaa paikar hotaa to achchhaa thaa