Shayari
sab raahon mein kaanTe hain
chalte jaanaa ek taraf
isi liye to main aankhein jhukaae rahtaa huun
tiri shabih na aae kharaab aankhon mein
اسی لیے تو میں آنکھیں جھکائے رہتا ہوں
تری شبیہ نہ آئے خراب آنکھوں میں
इसी लिए तो मैं आँखें झुकाए रहता हूँ
तिरी शबीह न आए ख़राब आँखों में

sab raahon mein kaanTe hain
chalte jaanaa ek taraf
dil-sahraa mein ret sadaa uDti rahti hai
kab is se taa'mir koi darpan kartaa hai
unhein kyaa pata mushk-o-'ambar hai kyaa shai
jo vaaqif nahin meri urdu zabaan se
suratein TuTeingi lekin aaina rah jaaegaa
aaina gar TuuT jaaegaa to kyaa rah jaaegaa
vo ab aate nahin dariyaa kinaare
utarte the jo gahre paaniyon mein
ek se phirte hain divaane jidhar bhi dekho
ab koi farq nahin shahr mein viraane mein
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
aaine se nazar churaate hain
jab se apnaa javaab dekhaa hai
jahaan jahaan bhi hai nahr-e-furaat kaa imkaan
vahin yazid kaa lashkar dikhaai detaa hai
shah-naame likkhe hain khanDaraat ki har iinT par
har jagah hai dafn ik afsaana tere shahr mein