Shayari
ye kyaa kam hai amaama baandh kar nikle nahin ham
ab is se bhi sivaa imaan-daari kaun kartaa
suntaa hai yahaan kaun samajhtaa hai yahaan kaun
ye shaghl-e-sukhan vaqt-guzaari ke liye hai
سنتا ہے یہاں کون سمجھتا ہے یہاں کون
یہ شغل سخن وقت گزاری کے لیے ہے
सुनता है यहाँ कौन समझता है यहाँ कौन
ये शग़्ल-ए-सुख़न वक़्त-गुज़ारी के लिए है

ye kyaa kam hai amaama baandh kar nikle nahin ham
ab is se bhi sivaa imaan-daari kaun kartaa
kab se main safar mein huun magar ye nahin maalum
aane mein lagaa huun ki main jaane mein lagaa huun
ye na dekho ki mire zakhm bahut kaari hain
ye bataao ki miraa dushman-e-jaan kaisaa hai
the yahaan saare amal radd-e-amal ke muhtaaj
zindagi bhi hamein darkaar thi marne ke liye
kahaan main aur kahaan gosha-nashini kaa ye elaan
ye saaraa silsila mashhur hone ke liye thaa
kholin vo dar kisi ne bhi kholaa na ho jise
koi jidhar na jaae udhar jaanaa chaahiye