Shayari
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
A
Ahsan Gulfamrahne ko apne paas koi chhat nahin magar
chiDiyon ke chahchahaane ko aangan banaa diyaa
رہنے کو اپنے پاس کوئی چھت نہیں مگر
چڑیوں کے چہچہانے کو آنگن بنا دیا
रहने को अपने पास कोई छत नहीं मगर
चिड़ियों के चहचहाने को आँगन बना दिया
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
ye shaairi kaa takalluf badan pe achchhaa libaas
sab iltizaam usi ek be-vafaa ke liye
mujh ko daavaa nahin yusuf saa hasin hone kaa
phir bhi hai meraa zulekhaaon mein charchaa saahab
itni mahngaai hai marnaa bhi agar chaahun to
zahr miltaa nahin baazaar mein sastaa saahab
ab kahaan miltaa hai aashiq koi sachchaa saahab
zakhm hi koi lagaa dein mujhe achchhaa saahab
kahne ko faqat ibn-e-ali ibn-e-ali hain
dekho to kahin jazba-e-haidar nahin miltaa