Shayari
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
A
Ahsan Gulfamkahne ko faqat ibn-e-ali ibn-e-ali hain
dekho to kahin jazba-e-haidar nahin miltaa
کہنے کو فقط ابن علی ابن علی ہیں
دیکھو تو کہیں جذبۂ حیدر نہیں ملتا
कहने को फ़क़त इब्न-ए-अली इब्न-ए-अली हैं
देखो तो कहीं जज़्बा-ए-हैदर नहीं मिलता
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
ye shaairi kaa takalluf badan pe achchhaa libaas
sab iltizaam usi ek be-vafaa ke liye
mujh ko daavaa nahin yusuf saa hasin hone kaa
phir bhi hai meraa zulekhaaon mein charchaa saahab
rahne ko apne paas koi chhat nahin magar
chiDiyon ke chahchahaane ko aangan banaa diyaa
itni mahngaai hai marnaa bhi agar chaahun to
zahr miltaa nahin baazaar mein sastaa saahab
ab kahaan miltaa hai aashiq koi sachchaa saahab
zakhm hi koi lagaa dein mujhe achchhaa saahab
be-zaar hain jo jazba-e-hubb-ul-vatani se
vo log kisi se bhi mohabbat nahin karte
aql kahti hai na jaa kucha-e-qaatil ki taraf
sarfaroshi ki havas kahti hai chal kyaa hogaa
de hausle ki daad ke ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
rah-guzaar-e-maarifat tak ho rasaai yaa na ho
jazba--e-pur-shauq ki vaaraftagi kuchh kam nahin
ye bhi khud ko hausla dene kaa hiila hai ki main
ungliyon se likh rahaa huun chaar su laa-taqnatu
ye 'ishq jazba-e-ruhaaniyat hai maantaa huun
magar tu jism ki majburiyaan bhi samjhaa kar