Shayari
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
A
Ahsan Gulfamye shaairi kaa takalluf badan pe achchhaa libaas
sab iltizaam usi ek be-vafaa ke liye
یہ شاعری کا تکلف بدن پہ اچھا لباس
سب التزام اسی ایک بے وفا کے لیے
ये शाइ'री का तकल्लुफ़ बदन पे अच्छा लिबास
सब इल्तिज़ाम उसी एक बे-वफ़ा के लिए
shahr kaa shahr ye pichhe jo paDaa hai mere
tere divaane mein kuchh baat to hoti hogi
mujh ko daavaa nahin yusuf saa hasin hone kaa
phir bhi hai meraa zulekhaaon mein charchaa saahab
rahne ko apne paas koi chhat nahin magar
chiDiyon ke chahchahaane ko aangan banaa diyaa
itni mahngaai hai marnaa bhi agar chaahun to
zahr miltaa nahin baazaar mein sastaa saahab
ab kahaan miltaa hai aashiq koi sachchaa saahab
zakhm hi koi lagaa dein mujhe achchhaa saahab
kahne ko faqat ibn-e-ali ibn-e-ali hain
dekho to kahin jazba-e-haidar nahin miltaa
har dil-fareb chiiz nazar kaa ghubaar hai
aankhein hasin hon to khizaan bhi bahaar hai
de kar fareb mujh ko gayaa thaa vo shokh-tan
khaa kar fareb lauTaa to siine se lag gayaa
ghair ne tum ko jaan kahaa samjhe bhi kuchh ki kyaa kahaa
yaani ki bevafaa kahaa jaan kaa e'tibaar kyaa
fareb-e-abr-e-karam bhi baDaa sahaaraa hai
balaa se nakhl-e-tamannaa khizaan-rasida nahin
kuchh din ke baa'd us se judaa ho gae 'munir'
us bevafaa se apni tabiat nahin mili
jaan kar us but kaa ghar kaaba ko sajda kar liyaa
ai barahman mujh ko baitullaah ne dhokaa diyaa