Shayari
kalaam-e-mir samjhe aur zabaan-e-mirzaa samjhe
magar un kaa kahaa ye aap samjhein yaa khudaa samjhe
ai shama subh hoti hai roti hai kis liye
thoDi si rah gai hai ise bhi guzaar de
اے شمع صبح ہوتی ہے روتی ہے کس لیے
تھوڑی سی رہ گئی ہے اسے بھی گزار دے
ऐ शम्अ सुब्ह होती है रोती है किस लिए
थोड़ी सी रह गई है इसे भी गुज़ार दे

kalaam-e-mir samjhe aur zabaan-e-mirzaa samjhe
magar un kaa kahaa ye aap samjhein yaa khudaa samjhe
siine mein ik khaTak si hai aur bas
ham nahin jaante ki kyaa hai dil
be-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli
havas-e-rang na vo khvaahish-e-bu karte hain
main buraa hi sahi bhalaa na sahi
par tiri kaun si jafaa na sahi
aankhon mein meri subh-e-qayaamat gai jhamak
siine se us pari ke jo parda ulaT gayaa
maan bhi luun ki tiri yaad mahaz vaahima hai
phir bhi vo yaad hi dam-saaz rahi shaam-o-sahar
yahi bahut hai ki zinda hain qaid-e-zist mein ham
ye kaisi shaam hai kaisi sahar nahin maalum
aankhein sahar talak miri dar se lagi rahin
kyaa puchhte ho haal shab-e-intizaar kaa
halqa-e-shaam-o-sahar se nahin jaane vaalaa
dard is dida-e-tar se nahin jaane vaalaa
khat dekh kar miraa mire qaasid se yuun kahaa
kyaa gul nahin huaa vo charaagh-e-sahar hanuz