Shayari
aaina to 'aibon ki khabar detaa hai 'aasif'
khush-fahmi-e-insaan kaa magar koi kare kyaa
A
Akhtar Asifaaina sach boltaa hai aaina hai mo'tabar
sach ki 'aadat Daal tu bhi mo'tabar ho jaaegaa
آئنہ سچ بولتا ہے آئنہ ہے معتبر
سچ کی عادت ڈال تو بھی معتبر ہو جائے گا
आइना सच बोलता है आइना है मो'तबर
सच की 'आदत डाल तू भी मो'तबर हो जाएगा
aaina to 'aibon ki khabar detaa hai 'aasif'
khush-fahmi-e-insaan kaa magar koi kare kyaa
nahin hai mujh ko chaman se nikaalnaa aasaan
ba-shakl-e-rang rag-e-gul mein bas gayaa huun main
jis shakhs ko saae ki hai aaj baDi chaahat
puchho to kabhi us ne paude bhi lagaae hain
main jiyun ehsaan biThaa kar vo bhi ik kam-zarf kaa
zindagi pyaari hai lekin is qadar pyaari nahin