Shayari
guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
jab kabhi dekhaa hai ai 'zaidi' nigaah-e-ghaur se
har haqiqat mein mile hain chand afsaane mujhe
جب کبھی دیکھا ہے اے زیدیؔ نگاہ غور سے
ہر حقیقت میں ملے ہیں چند افسانے مجھے
जब कभी देखा है ऐ 'ज़ैदी' निगाह-ए-ग़ौर से
हर हक़ीक़त में मिले हैं चंद अफ़्साने मुझे

guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
jin hauslon se meraa junun mutmain na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho gae
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsaas mili
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aae
ab dard mein vo kaifiyat-e-dard nahin hai
aayaa huun jo us bazm-e-gul-afshaan se guzar ke
dil kaa lahu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain
ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke