Shayari
ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
ab dard mein vo kaifiyat-e-dard nahin hai
aayaa huun jo us bazm-e-gul-afshaan se guzar ke
اب درد میں وہ کیفیت درد نہیں ہے
آیا ہوں جو اس بزم گل افشاں سے گزر کے
अब दर्द में वो कैफ़ियत-ए-दर्द नहीं है
आया हूँ जो उस बज़्म-ए-गुल-अफ़्शाँ से गुज़र के

ye dushmani hai saaqi yaa dosti hai saaqi
auron ko jaam denaa mujh ko dikhaa dikhaa ke
guftugu ke khatm ho jaane par aayaa ye khayaal
jo zabaan tak aa nahin paayaa vahi to dil mein thaa
jin hauslon se meraa junun mutmain na thaa
vo hausle zamaane ke meyaar ho gae
lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsaas mili
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aae
dil kaa lahu nigaah se Tapkaa hai baar-haa
ham raah-e-gham mein aisi bhi manzil se aae hain
jab kabhi dekhaa hai ai 'zaidi' nigaah-e-ghaur se
har haqiqat mein mile hain chand afsaane mujhe
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
shab-gazida ko tire is ki khabar hi kab thi
din jo aaegaa gham-e-laa-mutanaahi degaa
jo palkon se gir jaae aansu kaa qatra
jo palkon mein rah jaaegaa vo guhar hai
safed-poshi-e-dil kaa bharam bhi rakhnaa hai
tiri khushi ke liye teraa gham bhi rakhnaa hai