Shayari
soup ke daane kabutar chug rahaa thaa aur vo
sehn ko mahkaa rahi thi sunnatein paDhte hue
baahar saare maidaan jiit chukaa thaa vo
ghar lauTaa to pal bhar mein hi TuuTaa thaa
باہر سارے میداں جیت چکا تھا وہ
گھر لوٹا تو پل بھر میں ہی ٹوٹا تھا
बाहर सारे मैदाँ जीत चुका था वो
घर लौटा तो पल भर में ही टूटा था

soup ke daane kabutar chug rahaa thaa aur vo
sehn ko mahkaa rahi thi sunnatein paDhte hue
ye sach hai rang badaltaa thaa vo har ik lamha
magar vahi to bahut kaamyaab chehraa thaa
har ik nadi se kaDi pyaas le ke vo guzraa
ye aur baat ki vo khud bhi ek dariyaa thaa
jaane kyaa soch ke phir in ko rihaai de di
ham ne ab ke bhi parindon ko tah-e-daam kiyaa
ek sannaaTaa bichhaa hai is jahaan mein har taraf
aasmaan-dar-aasmaan-dar-aasmaan kyuun rat-jage hain
meraa karb miri tanhaai ki zinat
main chehron ke jangal kaa sannaaTaa huun