Shayari
ik manzar mein ik dhundle se aks mein chhup ke ro lein
ham kis khvaab mein aankhein mundein kis mein aankhein kholein
ulajhti jaati hain girhein adhure lafzon ki
ham apni baaton ke saare agar magar kholein
الجھتی جاتی ہیں گرہیں ادھورے لفظوں کی
ہم اپنی باتوں کے سارے اگر مگر کھولیں
उलझती जाती हैं गिर्हें अधूरे लफ़्ज़ों की
हम अपनी बातों के सारे अगर मगर खोलें

ik manzar mein ik dhundle se aks mein chhup ke ro lein
ham kis khvaab mein aankhein mundein kis mein aankhein kholein
aap kahein to tiin zamaane ek hi lahr mein bah niklein
aap kahein to saari baaton mein aisi aasaani hai
tum jo chaaho to ruk bhi saktaa hai
varna kis se rukaa hai aadhaa din
meri hairat miri vahshat kaa pata puchhti hai
dekhiye kaun kise pahle rasaai degaa
bahut se lafz dastak de rahe the
sukut-e-shab mein rasta khul rahaa thaa
jaane kis khvaab ki hairat ne jagaae rakkhaa
phir miri hasrat-e-naakaam ne dekhaa us ko