Shayari
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein
A
Anwarul Hasan Anwarbe-khayaali mein bhi phir un kaa khayaal aataa hai
vahi tasvir mire pesh-e-nazar hoti hai
بے خیالی میں بھی پھر ان کا خیال آتا ہے
وہی تصویر مرے پیش نظر ہوتی ہے
बे-ख़याली में भी फिर उन का ख़याल आता है
वही तस्वीर मिरे पेश-ए-नज़र होती है
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein
ye avadh hai ki jahaan shaam kabhi khatm nahin
vo banaras hai jahaan roz sahar hoti hai
sukun-e-dil na mayassar huaa zamaane mein
na yaad rakhne mein tum ko na bhuul jaane mein
ab tire hijr mein yuun umr basar hoti hai
shaam hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai
bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson
dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson
saath jo de na sakaa raah-e-vafaa mein apnaa
be-iraada bhi use yaad kiyaa hai barson