Shayari
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein
A
Anwarul Hasan Anwarsaath jo de na sakaa raah-e-vafaa mein apnaa
be-iraada bhi use yaad kiyaa hai barson
ساتھ جو دے نہ سکا راہ وفا میں اپنا
بے ارادہ بھی اسے یاد کیا ہے برسوں
साथ जो दे न सका राह-ए-वफ़ा में अपना
बे-इरादा भी उसे याद किया है बरसों
vo iztiraab-e-musalsal kaa lutf kyaa jaane
musibaton se jo ghabraa gayaa zamaane mein
ye avadh hai ki jahaan shaam kabhi khatm nahin
vo banaras hai jahaan roz sahar hoti hai
be-khayaali mein bhi phir un kaa khayaal aataa hai
vahi tasvir mire pesh-e-nazar hoti hai
sukun-e-dil na mayassar huaa zamaane mein
na yaad rakhne mein tum ko na bhuul jaane mein
ab tire hijr mein yuun umr basar hoti hai
shaam hoti hai to ro ro ke sahar hoti hai
bhulne vaale tujhe yaad kiyaa hai barson
dil-e-viraan ko yuun aabaad kiyaa hai barson
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
kifaayat se tumhein ham sochte hain
raqam yaadon ki ab tak chal rahi hai
tiri yaad siine se rukhsat hui
ye buDhiyaa baDe din se bimaar thi
jalte shahron kaa dhuaan aankhon mein ghumaa aksar
yaad aai hai jo guzre hue ayyaam ki baat
khush-haal ghar sharif tabiat sabhi kaa dost
vo shakhs thaa ziyaada magar aadmi thaa kam