Shayari
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
A
Asad Ali Khan Qalaqai pari-zaad jo tu raqs kare masti mein
daana-e-taak har ik paanv mein ghunghru ho jaae
اے پری زاد جو تو رقص کرے مستی میں
دانۂ تاک ہر اک پاؤں میں گھنگھرو ہو جائے
ऐ परी-ज़ाद जो तू रक़्स करे मस्ती में
दाना-ए-ताक हर इक पाँव में घुंघरू हो जाए
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
sindur us ki maang mein detaa hai yuun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyaah mein
phir mujh se is tarah ki na kijegaa dil-lagi
khair is ghaDi to aap kaa main kar gayaa lihaaz
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas