Shayari
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
A
Asad Ali Khan Qalaqtilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
طلائی رنگ جاناں کا اگر مضمون لکھوں خط میں
تو ہالہ گرد حرفوں کے بنے سونے کے پانی کا
तिलाई रंग जानाँ का अगर मज़मून लिखूँ ख़त में
तो हाला गिर्द हर्फ़ों के बने सोने के पानी का
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
sindur us ki maang mein detaa hai yuun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyaah mein
phir mujh se is tarah ki na kijegaa dil-lagi
khair is ghaDi to aap kaa main kar gayaa lihaaz
tire honThon se sharmaa kar pasine mein huaa ye tar
khizar ne khud araq ponchhaa jabin-e-aab-e-haivaan kaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
roz o shab furqat-e-jaanaan mein basar ki ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauraan niklaa
us ko manzur nahin hai miri gumraahi bhi
aur mujhe raah pe laanaa bhi nahin chaahtaa hai
aghyaar kyuun dakhil hain bazm-e-surur mein
maanaa ki yaar kam hain par itne to kam nahin