Shayari
aap kaa to shauq hai jalte gharon ko dekhnaa
aap aankhein nam kareinge aap rahne dijiye
din din bhar aaina dekhaa jaataa hai
tab jaa kar do chaar ishaare bante hain
دن دن بھر آئینہ دیکھا جاتا ہے
تب جا کر دو چار اشارے بنتے ہیں
दिन दिन भर आईना देखा जाता है
तब जा कर दो चार इशारे बनते हैं

aap kaa to shauq hai jalte gharon ko dekhnaa
aap aankhein nam kareinge aap rahne dijiye
qabr par phuul rakhne aayaa thaa
phir yahin ghar banaa liyaa main ne
sab ko kaanTon pe shak huaa thaa magar
zakhm ke aas-paas phuul mile
aansu bataa rahe hain ki mujh mein hai zindagi
yaa'ni main intizaar mein patthar nahin huaa
javaab hans ke diyaa us ne aur rone lagaa
savaal puchh ke sharmindagi baDhi meri
hansi un ke labon tak aa gai hai
mukammal ho gayaa ronaa hamaaraa