Shayari
kuchh sazaa aur baDh gai is par
zakhm khaae to muskuraae kyon
qabr par phuul rakhne aayaa thaa
phir yahin ghar banaa liyaa main ne
قبر پر پھول رکھنے آیا تھا
پھر یہیں گھر بنا لیا میں نے
क़ब्र पर फूल रखने आया था
फिर यहीं घर बना लिया मैं ने

kuchh sazaa aur baDh gai is par
zakhm khaae to muskuraae kyon
mujh se baahar nikal rahe the sab
main bhi hairaan saa nikal aayaa
din din bhar aaina dekhaa jaataa hai
tab jaa kar do chaar ishaare bante hain
aap kaa to shauq hai jalte gharon ko dekhnaa
aap aankhein nam kareinge aap rahne dijiye
sab ko kaanTon pe shak huaa thaa magar
zakhm ke aas-paas phuul mile
hansi un ke labon tak aa gai hai
mukammal ho gayaa ronaa hamaaraa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gali mein koi ghar achchhaa nahin thaa
magar kuchh khiDkiyaan achchhi lagi hain
kyunkar na tujhe dauD ke chhaati se lagaa luun
phulon kaa gale mein tire ye haar ghazab hai
hai mausam-e-bahaar kaa aaghaaz qahr hai
ab bhi agar chaman mein havaa mo'tadil na ho