Shayari
aaj-kal to sab ke sab Tv ke divaane hue
varna bachche to liyaa karte the paagal ke maze
phaldaar darakhton ne rijhaayaa to mujhe bhi
aazaad parindon ke liye shaakh-o-samar kyaa
پھل دار درختوں نے رجھایا تو مجھے بھی
آزاد پرندوں کے لیے شاخ و ثمر کیا
फलदार दरख़्तों ने रिझाया तो मुझे भी
आज़ाद परिंदों के लिए शाख़-ओ-समर क्या

aaj-kal to sab ke sab Tv ke divaane hue
varna bachche to liyaa karte the paagal ke maze
azaab hoti hain aksar shabaab ki ghaDiyaan
gulaab apni hi khushbu se Darne lagte hain
har shakhs ko gumaan ki manzil nahin hai duur
ye to bataaiye ki pata kis ke paas hai
qaatil ki saari saazishein naakaam hi rahin
chehra kuchh aur khil uThaa zahraab gar piyaa
lahu kaa aakhiri qatra nichoDne par bhi
taqaaze reingte rahte hain rang-o-bu ke liye