Shayari
tujh se dil mein jo gila thaa vo na laae lab par
phir se ham bhar gae zakhmon ko haraa kyaa karte
jugnu havaa mein le ke ujaale nikal paDe
yuun tirgi se laDne jiyaale nikal paDe
جگنو ہوا میں لے کے اجالے نکل پڑے
یوں تیرگی سے لڑنے جیالے نکل پڑے
जुगनू हवा में ले के उजाले निकल पड़े
यूँ तीरगी से लड़ने जियाले निकल पड़े

tujh se dil mein jo gila thaa vo na laae lab par
phir se ham bhar gae zakhmon ko haraa kyaa karte
jab un ki bazm mein har khaas o aam rusvaa hai
ajiib kyaa hai agar meraa naam rusvaa hai
ye sochaa hai ki tujh ko sochnaa ab chhoD dungaa main
ye laghzish mujh se lekin be-iraada ho hi jaati hai
raah mein us ki chalein aur imtihaan koi na ho
kaise mumkin hai ki aatish ho dhuaan koi na ho
kaise mumkin hai ki qisse jis se sab vaabasta hon
vo chale aur saath us ke daastaan koi na ho
baDhaanaa haath pakaDne ko rang muTThi mein
to titliyon ke paron kaa daraaz ho jaanaa