Shayari
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
haidar ye bazm-e-vaqt mein sham-e-hunar ki qadr
din bhar jalaa ke shab ko bujhaayaa gayaa huun main
حیدر یہ بزم وقت میں شمع ہنر کی قدر
دن بھر جلا کے شب کو بجھایا گیا ہوں میں
हैदर ये बज़्म-ए-वक़्त में शम-ए-हुनर की क़द्र
दिन भर जला के शब को बुझाया गया हूँ मैं

raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
baat vo aadhi raat ki raat vo puure chaand ki
chaand bhi ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhi
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar thaa
apne hisse ki koi shama jalaate jaate
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chaandni to dekho