Shayari
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
aap ko aataa rahaa mere sataane kaa khayaal
sulh se achchhi rahi mujh ko laDaai aap ki
آپ کو آتا رہا میرے ستانے کا خیال
صلح سے اچھی رہی مجھ کو لڑائی آپ کی
आप को आता रहा मेरे सताने का ख़याल
सुल्ह से अच्छी रही मुझ को लड़ाई आप की

ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
khirad kaa naam junun paD gayaa junun kaa khirad
jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
iqraar hai ki dil se tumhein chaahte hain ham
kuchh is gunaah ki bhi sazaa hai tumhaare paas
aise bigDe ki phir jafaa bhi na ki
dushmani kaa bhi haq adaa na huaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi