Shayari
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
برسات کے آتے ہی توبہ نہ رہی باقی
بادل جو نظر آئے بدلی میری نیت بھی
बरसात के आते ही तौबा न रही बाक़ी
बादल जो नज़र आए बदली मेरी नीयत भी

ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
khirad kaa naam junun paD gayaa junun kaa khirad
jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
iqraar hai ki dil se tumhein chaahte hain ham
kuchh is gunaah ki bhi sazaa hai tumhaare paas
aise bigDe ki phir jafaa bhi na ki
dushmani kaa bhi haq adaa na huaa
aur to paas mire hijr mein kyaa rakkhaa hai
ik tire dard ko pahlu mein chhupaa rakkhaa hai
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaan
mile to us ko hamaaraa koi salaam kahe
aql o dil apni apni kahein jab 'khumaar'
aql ki suniye dil kaa kahaa kijiye
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
fan mein na moajaza na karaamaat chaahiye
dil ko lage bas aisi koi baat chaahiye