Shayari
khel zindagi ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koi bhi aakhiri nahin hoti
hamein pasand nahin jang mein bhi makkaari
jise nishaane pe rakkhein bataa ke rakhte hain
ہمیں پسند نہیں جنگ میں بھی مکاری
جسے نشانے پہ رکھیں بتا کے رکھتے ہیں
हमें पसंद नहीं जंग में भी मक्कारी
जिसे निशाने पे रक्खें बता के रखते हैं

khel zindagi ke tum khelte raho yaaro
haar jiit koi bhi aakhiri nahin hoti
pyaar kaa pahlaa khat likhne mein vaqt to lagtaa hai
nae parindon ko uDne mein vaqt to lagtaa hai
kuchh aur sabaq ham ko zamaane ne sikhaae
kuchh aur sabaq ham ne kitaabon mein paDhe the
kahin khulus kahin dosti kahin pe vafaa
baDe qarine se ghar ko sajaa ke rakhte hain
vo jo qisse mein thaa shaamil vahi kahtaa hai mujhe
mujh ko maalum nahin yaar ye qissa kyaa hai
khud charaagh ban ke jal vaqt ke andhere mein
bhiik ke ujaalon se raushni nahin hoti