Shayari
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
aasmaanon mein lachakti hui ye qaus-e-quzah
bhes badle hue raavan ki kamaan hai yaaro
آسمانوں میں لچکتی ہوئی یہ قوس قزح
بھیس بدلے ہوئے راون کی کماں ہے یارو
आसमानों में लचकती हुई ये क़ौस-ए-क़ुज़ह
भेस बदले हुए रावन की कमाँ है यारो
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
tumhaaraa bag bhi tayyaar kar ke rakkhaa hai
akeli hijr ke aazaar kyon uThaaun main
gulshan-e-khuld mein har-chand ki dil bahlaayaa
kucha-e-yaar magar dil se bhulaayaa na gayaa
dil mein zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin
aag is ghar mein lagi aisi ki jo thaa jal gayaa