Shayari
ghar apnaa kisi aur ki nazron se na dekho
har tarah se ujDaa hai magar phir bhi sajaa hai
aur jo hogaa vo bhi dekheinge
vaise kyaa kuchh nahin huaa hai miyaan
اور جو ہوگا وہ بھی دیکھیں گے
ویسے کیا کچھ نہیں ہوا ہے میاں
और जो होगा वो भी देखेंगे
वैसे क्या कुछ नहीं हुआ है मियाँ

ghar apnaa kisi aur ki nazron se na dekho
har tarah se ujDaa hai magar phir bhi sajaa hai
ye kaisaa vaqt mujh par aa gayaa hai
mire qad se miraa saayaa baDaa hai
agar ye zid hai ki mujh se duaa salaam na ho
to aisi raah se guzro jo raah-e-aam na ho
sadiyon se zamaane kaa ye andaaz rahaa hai
saaya bhi judaa ho gayaa jab vaqt paDaa hai
ye daur bhi kyaa daur hai is daur mein yaaro
sach bolne vaalon kaa hi anjaam buraa hai