Shayari
azal se taa-ba-abad ek hi kahaani hai
isi se ham ko nai daastaan banaani hai
ab koi DhunD-DhaanD ke laao nayaa vajud
insaan to bulandi-e-insaan se ghaT gayaa
اب کوئی ڈھونڈ ڈھانڈ کے لاؤ نیا وجود
انسان تو بلندی انساں سے گھٹ گیا
अब कोई ढूँड-ढाँड के लाओ नया वजूद
इंसान तो बुलंदी-ए-इंसाँ से घट गया

azal se taa-ba-abad ek hi kahaani hai
isi se ham ko nai daastaan banaani hai
ham na maaneinge khamoshi hai tamannaa kaa mizaaj
haan bhari bazm mein vo bol na paai hogi
saamnaa aaj anaa se hogaa
baat rakhni hai to sar de denaa
duniyaa to sidhi hai lekin duniyaa vaale
jhuTi sachchi kah ke use bahkaate honge
hayaat laakh ho faani magar ye sun rakhiye
hayaat se jo hai maqsud ghair-faani hai
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shokhi
simaT ke aa gae sab aap ki adaaon mein