Shayari
bane hain kaam sab uljhan se mere
yahi atvaar hain bachpan se mere
mere andar kaa shor hai mujh mein
varna baahar to khaamushi hai yahaan
میرے اندر کا شور ہے مجھ میں
ورنہ باہر تو خامشی ہے یہاں
मेरे अंदर का शोर है मुझ में
वर्ना बाहर तो ख़ामुशी है यहाँ

bane hain kaam sab uljhan se mere
yahi atvaar hain bachpan se mere
zindagi mein kasak zaruri thi
ye khalaa pur tiri kami se huaa
haal puchhaa na kare haath milaayaa na kare
main isi dhuup mein khush huun koi saaya na kare
kyaa chaahti hai ham se hamaari ye zindagi
kyaa qarz hai jo ham se adaa ho nahin rahaa
hamaari zindagi par maut bhi hairaan hai 'ghaaer'
na jaane kis ne ye taarikh-e-paidaaish nikaali hai
na ham vahshat mein apne ghar se nikle
na sahraa apni viraani se niklaa