Shayari
afsos jin ke dam se har ik su hain nafratein
ham ne taalluqaat unhin se baDhaa liye
jis ko chaahein be-izzat kar sakte hain
aap baDe hain aap ko ye aasaani hai
جس کو چاہیں بے عزت کر سکتے ہیں
آپ بڑے ہیں آپ کو یہ آسانی ہے
जिस को चाहें बे-इज़्ज़त कर सकते हैं
आप बड़े हैं आप को ये आसानी है

afsos jin ke dam se har ik su hain nafratein
ham ne taalluqaat unhin se baDhaa liye
yaad rakkho ik na ik din saanp baahar aaeinge
aastinon mein unhein kab tak chhupaayaa jaaegaa
in aansuon ki hifaazat bahut zaruri hai
andheri raat mein jugnu bhi kaam aate hain
phir tumhaare paanv chhune khud bulandi aaegi
sab dilon par raaj kar ke taaj-daari siikh lo
meri aankhein kuchh soi si rahti hain
shaayad in kaa khvaab-nagar se rishta hai
main jab bhi tajziya kartaa huun teraa ai duniyaa
is aaine mein tujhe bad-chalan si paataa huun