Shayari
yuun huaa phir band kar liin us ne aankhein ek din
vo samajh letaa thaa dil kaa haal chehra dekh kar
aaj bhi gaanv mein kuchh kachche makaanon vaale
ghar mein ham-saae ke faaqa nahin hone dete
آج بھی گاؤں میں کچھ کچے مکانوں والے
گھر میں ہمسائے کے فاقہ نہیں ہونے دیتے
आज भी गाँव में कुछ कच्चे मकानों वाले
घर में हम-साए के फ़ाक़ा नहीं होने देते

yuun huaa phir band kar liin us ne aankhein ek din
vo samajh letaa thaa dil kaa haal chehra dekh kar
mujh ko thakne nahin detaa ye zarurat kaa pahaaD
mere bachche mujhe buDhaa nahin hone dete
pyaas kahti hai chalo ret nichoDi jaae
apne hisse mein samundar nahin aane vaalaa
shaaeri mein 'mir'-o-'ghaalib' ke zamaana ab kahaan
shohratein jab itni sasti hon adab dekhegaa kaun
zindagi di hai to jiine kaa hunar bhi denaa
paanv bakhshein hain to taufiq-e-safar bhi denaa
jo kah rahe the ki jiinaa muhaal hai tum bin
bichhaD ke mujh se vo do din udaas bhi na rahe