Shayari
harim-e-dil mein Thahar yaa saraa-e-jaan mein ruk
ye sab makaan hain tere kisi makaan mein ruk
main hi aaina-e-duniyaa mein chalaa aayaa huun
yaa chali aai hai duniyaa mire aaine mein
میں ہی آئینۂ دنیا میں چلا آیا ہوں
یا چلی آئی ہے دنیا مرے آئینے میں
मैं ही आईना-ए-दुनिया में चला आया हूँ
या चली आई है दुनिया मिरे आईने में

harim-e-dil mein Thahar yaa saraa-e-jaan mein ruk
ye sab makaan hain tere kisi makaan mein ruk
meri aankhon se bhi ik baar nikal
dekhun main teri ravaani paani
mujh mein thoDi si jagah bhi nahin nafrat ke liye
main to har vaqt mohabbat se bharaa rahtaa huun
teri dahliz pe iqraar ki ummid liye
phir khaDe hain tire inkaar ke maare hue log
main adhuraa saa huun us ke andar
aur vo shakhs mukammal mujh mein
ek dariyaa ko dikhaai thi kabhi pyaas apni
phir nahin maangaa kabhi main ne dobaaraa paani