Shayari
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
dekhaa jo din ko us ne su-e-charkh-e-be-madaar
sonaa utar gayaa varaq-e-aaftaab kaa
دیکھا جو دن کو اس نے سوئے چرخ بے مدار
سونا اتر گیا ورق آفتاب کا
देखा जो दिन को उस ने सू-ए-चर्ख़-ए-बे-मदार
सोना उतर गया वरक़-ए-आफ़्ताब का

khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
kuchh na puchho daraazi-e-shab-e-hijr
kaT gai 'umr aur sahar na hui
qaabu mein rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na main ne aisaa kisi shahsavaar ko
muskuraahaT lab-e-naazuk pe nigaahein nichi
kis se sikhaa hai ye andaaz dil-aaraai kaa
khaak ke zarron se uf uf ki sadaa aati hai
meraa afsaana-e-gham qissa-e-maazi na huaa
dekhaa jo main ne naama-e-aa'maal hashr mein
qissa likhaa thaa mere aur un ke shabaab kaa