Shayari
dekhaa jo din ko us ne su-e-charkh-e-be-madaar
sonaa utar gayaa varaq-e-aaftaab kaa
dekhaa jo main ne naama-e-aa'maal hashr mein
qissa likhaa thaa mere aur un ke shabaab kaa
دیکھا جو میں نے نامۂ اعمال حشر میں
قصہ لکھا تھا میرے اور ان کے شباب کا
देखा जो मैं ने नामा-ए-आ'माल हश्र में
क़िस्सा लिखा था मेरे और उन के शबाब का

dekhaa jo din ko us ne su-e-charkh-e-be-madaar
sonaa utar gayaa varaq-e-aaftaab kaa
kuchh na puchho daraazi-e-shab-e-hijr
kaT gai 'umr aur sahar na hui
qaabu mein rakkhe ablaq-e-lail-o-nahaar ko
dekhaa na main ne aisaa kisi shahsavaar ko
muskuraahaT lab-e-naazuk pe nigaahein nichi
kis se sikhaa hai ye andaaz dil-aaraai kaa
khaak ke zarron se uf uf ki sadaa aati hai
meraa afsaana-e-gham qissa-e-maazi na huaa
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
koi tum mein yazid aur shabbir hai kis ki taqsir hai
log kahne lage shahr ko karbalaa shahr vaalo suno
main hisaar-e-zulmat-e-shab mein huun jo bhaTak rahaa huun gali gali
mujhe tirgi se gilaa nahin mujhe raushni ki talaash hai