Shayari
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai
bastiyaan kaise na mamnun hon divaanon ki
vusatein in mein vahi laate hain viraanon ki
بستیاں کیسے نہ ممنون ہوں دیوانوں کی
وسعتیں ان میں وہی لاتے ہیں ویرانوں کی
बस्तियाँ कैसे न मम्नून हों दीवानों की
वुसअ'तें इन में वही लाते हैं वीरानों की

nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai
kyaa kyaa pukaarein sisakti dekhin lafzon ke zindaanon mein
chup hi ki talqin kare hai ghairat-mand zamir hamein
sahar-e-azal ko jo di gai vahi aaj tak hai musaafiri
ai tai karein to pata chale kahaan kaun kis ki talab mein hai
meri aankhon hi mein the an-kahe pahlu us ke
vo jo ik baat suni meri zabaani tum ne
main to har dhuup mein saayon kaa rahaa huun juuyaa
mujh se likhvaai saraabon ki kahaani tum ne
kabhi faaslon ki masaafaton pe ubuur ho to ye kah sukun
miraa jurm hasrat-e-qurb hai to yahi kami yahaan sab mein hai