Shayari
hidaayat shaikh karte the bahut bahr-e-namaaz akasr
jo paDhnaa bhi paDi to ham ne Taali be-vazu barson
M
Munshi Debi Parshad Sahar Badayunijo tere gunah bakhshegaa vaaiz vo mire bhi
kyaa teraa khudaa aur hai bande kaa khudaa aur
جو تیرے گنہ بخشے گا واعظ وہ مرے بھی
کیا تیرا خدا اور ہے بندہ کا خدا اور
जो तेरे गुनह बख़्शेगा वाइ'ज़ वो मिरे भी
क्या तेरा ख़ुदा और है बंदे का ख़ुदा और
hidaayat shaikh karte the bahut bahr-e-namaaz akasr
jo paDhnaa bhi paDi to ham ne Taali be-vazu barson
hujum-e-ranj-o-gham-o-dard hai marun kyunkar
qadam uThaaun jo aage kushaada raah mile
aankh apni tiri abru pe jami rahti hai
roz is bait pe ham saad kiyaa karte hain
malak-ul-maut moazzin hai miraa vasl ki raat
dam nikal jaataa hai jab vaqt-e-azaan aataa hai
har ik fiqre pe hai jhiDki to hai har baat par gaali
tum aise khub-surat ho ke itne bad-zabaan kyuun ho
na laDaao nazar raqibon se
kaam achchhaa nahin laDaai kaa