Shayari
dushman-e-jaan hi sahi dost samajhtaa huun use
bad-duaa jis ki mujhe ban ke duaa lagti hai
mujhe ki gai hai ye peshkash ki sazaa mein hongi riyaayatein
jo qusur main ne kiyaa nahin vo qubul kar luun dabaao mein
مجھے کی گئی ہے یہ پیشکش کہ سزا میں ہوں گی رعایتیں
جو قصور میں نے کیا نہیں وہ قبول کر لوں دباؤ میں
मुझे की गई है ये पेशकश कि सज़ा में होंगी रियायतें
जो क़ुसूर मैं ने किया नहीं वो क़ुबूल कर लूँ दबाव में

dushman-e-jaan hi sahi dost samajhtaa huun use
bad-duaa jis ki mujhe ban ke duaa lagti hai
naam is kaa aamariyyat ho ki ho jamhuriyat
munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai
maanaa ki teraa mujh se koi vaasta nahin
milne ke baa'd mujh se zaraa aaina bhi dekh
chehre ki chaandni pe na itnaa bhi maan kar
vaqt-e-sahar tu rang kabhi chaand kaa bhi dekh
chaltaa rahe jo aabla-paai ke baavajud
manzil kaa mustahiq vahi sahraa-navard hai