Shayari
main ne noch ke pheinkin jo shiknein chaadar se
vo sab shiknein duniyaa maathe par le aai
Dubone vaalon ko sharminda kar chukaa hungaa
main Duub kar hi sahi paar utar chukaa hungaa
ڈبونے والوں کو شرمندہ کر چکا ہوں گا
میں ڈوب کر ہی سہی پار اتر چکا ہوں گا
डुबोने वालों को शर्मिंदा कर चुका हूँगा
मैं डूब कर ही सही पार उतर चुका हूँगा

main ne noch ke pheinkin jo shiknein chaadar se
vo sab shiknein duniyaa maathe par le aai
kaahkashaan ke khvaab 'muzaffar' dekh rahaa thaa
aur bedaari ret ke Tiile par le aai
yuun mahsus huaa apni gahraai mein jaa kar
jaise koi mauj kinaare par le aai
ham karein baat dalilon se to rad hoti hai
us ke honTon ki khamoshi bhi sanad hoti hai
vatan ki ret zaraa eDiyaan ragaDne de
mujhe yaqin hai ki paani yahin se niklegaa
kuchh na kahne se bhi chhin jaataa hai ejaaz-e-sukhan
zulm sahne se bhi zaalim ki madad hoti hai