Shayari
paa-ba-jaulaan to har ik shakhs yahaan hai 'amabar'
tiri zanjir hi kyuun shor bapaa karti hai
'ambar' us ke biite kal kaa qissa huun main
phir kaahe kaa shauq ki us ko yaad bhi huun main
عنبرؔ اس کے بیتے کل کا قصہ ہوں میں
پھر کاہے کا شوق کہ اس کو یاد بھی ہوں میں
'अम्बर' उस के बीते कल का क़िस्सा हूँ मैं
फिर काहे का शौक़ कि उस को याद भी हूँ मैं

paa-ba-jaulaan to har ik shakhs yahaan hai 'amabar'
tiri zanjir hi kyuun shor bapaa karti hai
bas chand ham-khayaal hain 'ambar' mujhe aziiz
behis jamm-e-ghafir nahin chaahiye mujhe
husain rifatein taqsim kartaa hai ab bhi
yazid aaj bhi rusvaaiyaan sameTtaa hai
zinda rahte hain kyaa ye kaafi nahin
koi laazim hai ki phir khush bhi hon
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
sukut-e-shab mein dar-e-dil pe ek dastak thi
bikhar gai tiri yaadon ki kahkashaan mujh se
aaj kuchh mehrbaan hai sayyaad
kyaa nasheman bhi ho gayaa barbaad
apne aanchal mein chhupaa kar mire aansu le jaa
yaad rakhne ko mulaaqaat ke jugnu le jaa
dil taDap jaataa hai jis dam yaad aa jaate hain aap
aap se bichhDe hamein kitne zamaane ho gae