Shayari
bevaquf apne ko kahte hue baahar nikle
jab vahaan sab the samajh-daar to ham kyaa karte
dil taDap jaataa hai jis dam yaad aa jaate hain aap
aap se bichhDe hamein kitne zamaane ho gae
دل تڑپ جاتا ہے جس دم یاد آ جاتے ہیں آپ
آپ سے بچھڑے ہمیں کتنے زمانے ہو گئے
दिल तड़प जाता है जिस दम याद आ जाते हैं आप
आप से बिछड़े हमें कितने ज़माने हो गए

bevaquf apne ko kahte hue baahar nikle
jab vahaan sab the samajh-daar to ham kyaa karte
pahle to khud ko dafn kiyaa apni qabr mein
phir apnaa marsiya bhi sunaanaa paDaa mujhe
meri ummidon ke jitne the shajar suukh gae
jab kisi aur se jaa kar vo milaa shaam ke baa'd
un ki tahzib ho gai rukhsat
tujh se pherein hain jo nazar urdu
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yaadon ki rut ke aate hi sab ho gae hare
ham to samajh rahe the sabhi zakhm bhar gae
goyaa tumhaari yaad hi meraa ilaaj hai
hotaa hai pahron zikr tumhaaraa tabib se
tum aur fareb khaao bayaan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se
yaktaai pe hai naaz to itnaa bhi rahe yaad
tum saa mujhe to tum ko bhi mujh saa na milegaa
yahi hain yaadgaar-e-ghuncha-o-gul is zamaane mein
inhin sukhe hue kaanTon se zikr-e-gulsitaan likhiye