Shayari
pahle zakhmon se ham navaaze gae
phir dilaasa diyaa gayaa ham ko
adhure rah gae ham is liye bhi
koi ham ko mukammal chaahiye thaa
ادھورے رہ گئے ہم اس لئے بھی
کوئی ہم کو مکمل چاہیے تھا
अधूरे रह गए हम इस लिए भी
कोई हम को मुकम्मल चाहिए था

pahle zakhmon se ham navaaze gae
phir dilaasa diyaa gayaa ham ko
khaamoshi mein rahne vaale logon ko
sannaaTe ki guunj sunaai deti hai
us se hi to chalte hain kaarobaar gulshan ke
vo hi raat-raani hai vo hi gul-hazaara hai
mere ash'aar churaane vaalo
kyaa miraa dard churaa sakte ho
yuun samajhiye ghazal mukammal hai
jab mohabbat baghal mein baiThi ho
puchh kar kaun dil dukhaataa hai
haadse kab bataa ke hote hain