Shayari
jis ko khud apnaa eatibaar na ho
aise insaan kaa eatibaar na kar
log tujh ko haqir samjheinge
had se zaaid bhi inkisaar na kar
لوگ تجھ کو حقیر سمجھیں گے
حد سے زائد بھی انکسار نہ کر
लोग तुझ को हक़ीर समझेंगे
हद से ज़ाइद भी इंकिसार न कर

jis ko khud apnaa eatibaar na ho
aise insaan kaa eatibaar na kar
be-rabtiyon ne 'qadr' miTaai jo rabt ki
hai gosht ko bhi apne na ab ustukhvaan se rabt
duniyaa ko ham se kaam na duniyaa se ham ko kaam
khaatir se teri rakhte hain saare-jahaan se rabt
toDaa nahin jaa saktaa paimaan mohabbat kaa
nuqsaan khud apnaa hai nuqsaan mohabbat kaa
kyuun ishq ke jhagDe ko le jaataa hai uqbaa mein
kar khaatma duniyaa mein duniyaa ki musibat kaa
khaamosh is tarah se na jal kar dhuaan uThaa
ai shama kuchh to bol kabhi to zabaan uThaa